Friday, 22 May 2020

My Paintings World

My Art Exhibition

Simple but beautiful

     Waise agar aap sab kisi bhi painter se puchho ki unki life meh sabse beautiful chiz kya hai ? 
Toh I am damn sure ki unka answer colours ya unki paintings hi hogi or unki life meh koi ek painting aisi hogi jo unki sabse favourite hogi and har painter yehi chahta hai ki unki paintings or unki mehnat ka bohot acha price mile.( Haina? )
Sorry!!!... but mai iss bat se kabhi relate nhi kar pati ki ek artist apni paintings ka koi price kaise lga skta hai. Ha ab aap sab socho ge ki agar price teh nhi kia toh hame income kaise hogi ? (Right) mai apko ye nhi keh rahi ki aap price teh mt kijiye price teh kijiye but usse paihle aap apni paintings ko pyar krna sikhiye because jab aap jisi chiz se pyar krte hai toh aap usme apna πŸ’―% dete hai or then jo chiz apko apki mehnat ka fal degi. Jab tak aap kisi chiz se hpractically attach honge tab tak aap use chiz ko apna hundred percent kabhi nahin denge or jab aap kisi chiz se pyar karenge to aap use chiz ko apna hundred percent denge.
Paintings or colours meri life meh aise important lgte hai jaise dharti par suraj ki roshni. Meri koi favourite painting nhi hai mujhe apni sabhi paintings se equally pyar hai because mujhse jab bhi koi painting bnvata hai ya meri koi achi painting magta hai toh mujhe apni painting us insan ko dene ka mann nhi krta. Ek alag hi rishta hai mera meri paintings k sath, I love my paintings or meri iss baat se vo painter bohot relate ache se kre ge jo apni painting ke sath love relation meh hai. Ab mai ye nhi keh rahi hu ki aap logo ko apni paintings pasnd nhi hai, but pasnd or pyar meh difference hota hai. Jis tarha ek relation meh pyar hona zruri hai usi tarha apko apni paintings ke sath bhi pyar hona chahiye. 

Chalo apko ek situation btati hu...
Sochiye agar apne kisi ke liye ek bohot beautiful si painting bnai and apne usse bohot pyar se bnaya or apna πŸ’―% bhi diya but jis insan k liye apne vo painting bnai ho or vohi insan us painting ki bekarari kr de or use fadh kar fenk de toh us ek ek tukdhe ke sath jab apka dil tutta hai toh vo apka pyar tha apki painting k liye because vo apke emotions or pyar ke sath judi thi.

Ek chhoti si bat sachi or achhi ho toh dhyan dena


 ( Colours or Paintings is like a magic or aap ye magic tab hi kar skte hai jab aap in dono chizon se deep inside pyar meh hote ho or jab aap sach me pura meh ho toh  then painting ko apna career banaye because tab apko farak nhi pade ga ki apko painting se kitna kam rahe ho farak nhi pade ga kabhi.)

Waise toh mai koi bohot badi artist nhi hu or mujhse bhi bohot achhe artists hai but mujhe lgta hai ki un bohot achhe artists meh mai buri artist bhi nhi hu. 



Mai apni kuchh paintings aap sab se share karna chahti hu. I hope aap sab ko meri paintings pasnd aye.

(Waise ek baat or agar aap jaise bhi painter ho but important hai ki aapko apni paintings se pyar or unpaar confident hona chahiye ki apne jo bnaya hai ki acha bnaya hai because apki paintings meh galtiyan nikalne wale bohot hoge par uski kadar karne wale bohot kam, So be confident.)


The Shiva Prem Painting

Iss painting ko bnane ke pichhe ek chhoti si story hai. Mere iss sal ke birthday par mujhe birthday celebrate karne ka man nahin tha toh maine socha ki mai ghr par hi rahu gi. Mere chhoti sister ne bohot zid ki or mujhe paihle shopping par le gyi or fir cafe or jaise hi mai cafe gyi toh mere liye ek birthday party organise ki hui thi. I'm surprised thi but mai tab bhi khush nhi thi I don't no why but uss din mai happy nhi thi or then suddenly sir or meri chhoti sister mere liye ek bohot hi badha gift lekr aye mai fir say surprised thi or jab maine apna gift khola toh usme canvas or easel tha mai toh dekhte hi pagl ho gyi thi because ye meri Life ka first canvas and easel tha. Isapar maine Shiva Parvati iss karn bnaye because ye gift meri chhoti sister ne diya tha or vo meri ladli hai or Shiv ji mere dost hai or vo mere har sukh dukh meh sath hote hai toh mere har achhe kam ki shurwat unse hi ho aisa chahti hu mai.



Water Blossom Flowers

Iss painting ko maine nature ki do chizon ko soch kar bnaya hai first water and second flowers. Iss painting meh Imagination ka use bhi hua hai. Kaise ek colour pani meh milkar apna khud ka pattern drow krta hai.



Aanand Shiva

Iss painting ko maine bohot hi relax mood me bnaya tha. Bs dil meh shiv or unko soch kar jo Aanand ata hai usi karn iss painting ko  Aanand Shiva  hai ye painting. Shiv apne naritya meh khoe huye hai.


True Reality

Ye painting har uss insan ki life ko dedicated hai jo bohot problems k baad bhi apne face par ek chhoti si smile lekar apki life meh agge badhta hai. Or mai har uss insan ko thankyou bolna chahti hu jo kisi or ka soch kar apne dukh ko chhipa leta hai taki usko udas dekhkar kahi samne wala insan udas na ho jaye. Thankyou so much πŸ™πŸΌπŸ™πŸΌπŸ™πŸΌ



Love's One

Iss chhoti si painting meh bas bohot sara pyar hi pyar hai. Unlimited love, beyond the universe.
snower2409@gmail.com


Thursday, 30 April 2020

SECRET ARTIST (Beyond The World)

THE SECRET ARTIST IN INDIA

India, Hindustan ya Bharat tino ek hi hai. Yaha din Sone ki tarha chamakta hai or rat chandi si. Yaha mosam kuch iss tarha badalte hai jaise koi jadugar apni jadu gari dikha raha hai. Dekhne walo ki ankho ka farak hai kisi ko yaha garibi dikhti hai toh kisi ko yaha ke culture, taihzeeb or inme bhare rang or kalakari jaise  har chiz apne aap meh ek jadu hai. Yaha ki mitti meh alag hi jadu hai jo yaha ke har insan ko jadugar banati hai. India ki history or unke diye gye historical monuments apne aap meh hi magical stories ki tarha hai.


Aaj hum India meh mojood Ellora caves or The famous temple Kailasha. Kailasha temple ko kailasha natha bhi kehte hai.



Ellora caves hum insano ki imagination ka amazing example hai. Ellora caves India ke Maharashtra ke Aurangabad district meh hai. In caves ko dekh kar lgta hai jaise bhagwan ne inhe banvane ka order diya ho. Caves meh ki gyi Painting or Architecture ko dekh kar pta chalta hai insan agar nature ke sath jab chalta hai toh natura bhi insan ko bohot hi precious gift deta hai. jis tarah in caves mein insano ne apni kalakari ko explain kiya hai bina nature ko destroy Kare to nature ne bhi inke score aaj tak sambhal ke rakha hai. Main toh yah sochti hu jis insan ne in pattharon ko itni Sundar shape mein dalne ka socha hoga use bande ki imagination kitni strong or beautiful hogi. matlab ki pattharon ko sundar caves meh badalne ki suchna or fir unpar painting or nakkashi karne ki sochna it's amazing. Ellora caves sach mein Indian art or architecture ka amazing example hai. India Asianet time meh bhi kahi guna advance tha or aaj ki soch se kahi guna agge ka sochta tha. 




Ellora caves name 100 caves hai jinme se sirf 34 caves hi logon ke liye kholi gyi hai. In 34 caves meh se 12 caves Buddhist joke 600 se 730 CE meh bani hai, 5 caves Jain joke 9th se 10th century meh bani hai or 17 Hindu caves hai  joke 6th se 8th century meh bani hai. Mai toh soch kar hi hairan hu ki jis insan ne inn caves ka design socha hoga wo kitne badhe artist hoge. Jitni tarif kari kam hai inn caves ko design krne wale artist ki. alora ki Buddhist cave Rashtrakuta Dynasty ke through banvai gyi or Jain caves Yadav dynasty ke through banvai gyi. Is jagah ke aaspaas ka nature apne aap mein hi is jagah ko attractive banata hai. Attractive se jada to yah God ka socha samjha hua magic lagta hai.



Ellora caves ke baad hum baat karenge Kailash temple ki. Kailasha temple Ellora caves ka Hi ek badda hissa hai Jo hamari dharmik aastha se juda hua hai. Kailasha temple Ellora ki 16th cave hai. Kailasha temple ke piche bohot si stories hai Jo hindu dharm ki manyata or architecture ka ek bahut hi bada example hai. Kailasha temple ki bahot si baten hain jo hume sochne per majbur karti hain ki kya ya normal historical temple hai yah iske piche koi magical history bhi hai? Kailasha temple ko 8th CE ka batate hai but kuchh log yah mante Hain ki Kailash temple kise bhi kahi hajar sal purana hai.

Now ab aap soch rahe honge ke temple piche ki stories kya hai ? (Right)

Toh story kuch aise hai ki...(1)

Rashtrakuta ke Raja Krishna Pratham the. Ek bar Raja Krishna Pratham ko bahot hi gambhir bimari ho gai toh unki Rani ne Bhagwan Shiv ki Puja ki or unse prathna ki, ke Raja Krishna Pratham jaldi theek ho jaye or wo jab bilkul theek ho jaenge tab main aapka Mandir banvaaugi or jab tak wo mandir ka shikhar nhi dekh leti tab tak wo vrat karegi. Iske bad Raja jaldi theek ho gaye or jab raja ke karigaro ne bataya ki Aise Mandir ko banvaane mein bahut time lag jayega aur tab tak Rani vrat nahi Rakha payegi. Sab Raja Krishna Pratham ne Bhagwan Shiv ko madad karne ke liye kaha. Bhagwan Shiv ne Raja Ko ek Astra diya jiska Naam ( Bhumi Astra ) tha. Use Astra ke sath pathar ko kaatne per pathar bhaap banke evaporate ho jata tha. Is Astra ke sath Jo kam majduron ke through 200 salo mein hota vahi kam kuchh Dino mein ho gaya or jaldi hi  mandir ka Shikhar bankar taiyar ho gya or shikhar ko dekhkar Rani apna vrat khol saki. Kahate hain ki Mandir ke banne ke baad Bhumi Astra ko Kailash temple ke a niche ki kisi deep inside cave mein hi dafnaya gaya hai. (Sach kaha hai kisi ne agar Dil mein sacchi shradha ho to Bhagwan bhi sath dete Hain.) But story abhi itni nahi hai... Aap sab bhi soch rahe honge ki main aapko tang kar rahi hun but aage Jo main aapko batane wali hun sunkar aap hairan ho jaaoge aur Kailash Mandir ke magical or mystery ke fan ho jaye ge.

Toh story kuchh aisi hai ki... (2)

India per jab Mughal Raja Aurangzeb ka Raj tha or usne sare Hindu mandir todh diye the wahi 1682 mein usne Kailasha Mandir ko bhi todhne ka hukam de diya tha. Usne hazar majduron ko todne ke liye bheja but wo hazar majdur 3 sal TAK is Mandir ko todhne mein Lage rahe or wo log jada se jada kuchh murtiyan hi todh paye. Itni koshish karne ke baad mugal Raja Aurangzeb ko laga ki is Mandir ko completely todhnaa possible nahi hai. (Haina Amazing)
Kailasha temple ke aur bhi bahot raaz hai yah mandir bas 20 sal mein bankar taiyar ho gaya tha ismein se 400000 ton pathar khode the. Agar humne socha ki Bhagwan Shiv ke diye Astra wali story imaginative bhi hai sochne wali baat hai ki 400000 ton pathar ko bich safar mein chhod na impossible hai ki technology itni advance nahin hai or yahan aaspaas khode hue Pathar ka koi dher nahi hai. Toh question yeh hai ki Mandir se nikale gaye pathar kahan gaye? Yah chiz toh practically bhi impossible hai.

Kailasha Mandir se judi kuchh or bate...
Aap sab yah to jante hi Hain ki East India Company ne bahot time tak India per Raj kiya tha or tab unhone India ke historical monuments per bhi kabja kiya tha unmeh se ek Kailasha temple bhi tha. Kailasha temple per kabja karne ke baad East India Company ne vahan kisi bhi Indian researcher ke aane per ban kar diya tha or vahan bas English researcher hi ja sakte the. Kailasha temple ki caves India ke azad hone se pahle ki band kar di gai thi or aaj itne salo baad bhi Indian government ne in cave ko open nahi kiya research karne ke liye. East India Company  India ki dhan sampatti hi nahin balki India ki bohot hi jada advance technology bhi Apne sath le Gaye the.
English spiritualist Ama Hendrick ne 1876 main apni book meh Kailasha Mandir ke  ek puratattva Shastri e ke bare mein bataya tha. Unhone yah bhi bataya ki Kailasha temple jitna upar se badaa dikhta hai usse kahin guna badaa dharti ke neeche hai. Iske ilawa kuchh aur pura tatvik Shastri ne bhi bataya hai ki Kailasha Mandir ke niche ek puri city hai or vahin kuchh baten batate hain ki Kailasha temple ki caves ke niche kahin se high radioactivity hai is Karan vahan niche jada time tak nahi reh sakta but unhone yah bhi bataya ki radiation bus ek hi jagah se a rahi hai kahi deep inside se. bahot time pahle ek English teacher ne bataya ki wo caves mein gaya tha or usne vahan kuchh logon Ko dekha tha or unmeh se ek Insan kabhi dikhta tha kabhi gayab ho jata tha. (WOoo it's amazing) Kailasha temple apne aap mein hi bahot Raaz lekar baitha hai aur ine razon ko chhupane ki koshish pahle bhi ki ja rahi thi or Aaj bhi ki ja rahi hai.

Kya sach mein usse English researcher ko vahan koi dikha tha?

Mujhe to Kailasha temple bahot hi magical lagta hai jo secretly khud mein bahot se Raaz liye hue hai. Temple ko dekh kar lagta hai ki hathiyon ke jhund ne Mandir ko uthaya hua hai. Mandir ke upar Jo nakkashi hai Mahabharat aur Ramayan ki story ko explain Karti hai or jo sabse famous nakkashi hai usmein Ravan Kailasha temple ko uthane ki koshish mein dikhaya hai. Jab hum Kailasha temple ke andar jate hai toh waha ek halaki dheemi alag hi awaz sunai deti hai jaise vahan ki moortiyan aapas mein baat kar rahi ho. Kailasha temple jaane wale a logon Ko vahan per ek strong positive energy feel hoti hai Jaise unhen ya energy vahan dharti ke niche se mil rahi ho. Kailash temple ko Mahadev ke nivas sthan Kailash parvat Ko dekhkar banvaya gya hai.
Jo bhi hai but sach jis insan ne iss mandir ko design kia hai vo sach meh jadugar hoga tabhi toh aaj tak kailasha temple ke bohot se rat hai toh kisi ko bhi nhi pta. Khud meh amazing Kailasha temple btata hai ki art khud  meh hi magic hai.

Be imaginative because imagination is real magic of art

Tuesday, 14 April 2020

The Magical Colour Of My World

The Magical Colour Of My World

Life, Jisme bohot sare colours hai or har colour ka apna matlab hota hai. Har colour apne aap meh special hota hai. Nature ne hamari life ko colour full bnaya hai. Example toh aap apne aaspas ke nature ko dekho app ko koi bhi chiz bina colour ke nhi dikhe gi or kuch colour toh aise hote hai ki jo hamari imagination ko magical bnate hai.

Waise toh without colours life boring hogi but
Black and white bhi apne aap me magic se kam nhi hai. Kabhi dhyan se asmaan ko dekhna jab subha suraj nikalne se paihle wo thode se andhere ke sath jo roshani hoti hai, aisa lgta hai jaise kisi ne paani me  black colour lga hua brush wash kar dia ho or jab paani black colour ka ho gya toh jan-bujh-kar  white colour mix karne ki koshish ki hai.
Ab usi andhere ke baad dheere dheere suraj nikalta hai toh aisa lagta hai ki jaise kisi bache ne apne ek hath par orange colour or dusre hath par yellow colour galti se lga liya ho or ab usko apne hath saaf krne hai or apne samne padhe white sheet par usne apne dono hath yaha se waha fer raha hai. [Beautiful haina?]
Suraj ke puri tarhan nikalne ke baad na toh kahi black colour dikhta hai or na hi kahi orange colour dikhaii deta hai. Ab dopahar ho gyi hai or asmaan ko dekh kar aisa lgta hai ki jaise kisi ne white colour ki botal meh galti se blue colour lga hua brush ussi white colour ki botal me use krdia ho or ab jo white colour ki botal thi wo light blue colour ki ho gyi hai and now kisi artist ne ussi light blue colour ko apne canvas par use kia par abhi bhi thode se white colour me blue colour mix nhi hua or kahi kahi white colour reh gya ho. Tabhi asmaan me kahi white toh kahi light blue colour hai.
Dheere dheere suraj doob gya hai or ab sham hogyi hai dhalte suraj ko dekh kar lagra hai jaise kisi kapde rangne wale ne red colour ki chunariyon colour karni ho or colour karne ke baad galti se usne white colour ki chunari un red Colour ki chunariyon k sath rakh di ho or jab usne dekha ki white chunari red chunariyon k sath rakhne ke karan light pink hogyi hai toh usne uss light pink chunari ko bhi red colour meh rang dia.
Ab sham bhi khatam ho gyi hai or rat ho gyi hai. Rat toh dekhne meh aisi hoti hai jaise kisi ne  jaadu kardia.  Rat ka andhera aisa lgta hai jaise kisi kamre me andhere me kisi ne LED bulbs lgaye ho or unki roshni itni kam hai ki bs wo chamakte huye hi dikhai dete hai or wahi rat meh nikale huye chand ko dekh kar aisa lgta hai jaise kamre me ek white roshni dene wala bulb lgaya ho or iski roshni rat ko apni thandi chandni re roshan karti hai par fir bhi ye iss andhere ko khatam nhi kar pati bs iss bikhri hui thandi chandni me ek sukun sa hai. 


Uff..... Magic hamari ankho ke samne hai or hum dekhna nhi chahte



Aap logo ko pta a nature meh bhi colours kitni beautifully apna role karte hai or iss nature ka artist kon hai kisi ko nhi pta But jo bhi hai colours or nature ek dusre ke sath kuj aise hai ki inko alag karne ki sochna  bhi  glt hai. Koi toh magician artist hai jo colours ko chupke se hamari life meh colours fill karta hai. Pta hai colours kabhi bhi hamari life se alag nhi ho skte ye toh hamari imagination ka wo hisa hai jo kabhi bhi khatam nhi hoti. Har colour apne aap me hi magic ki tarha hai jo kisi bhi colourless chiz ko colour full karne meh kam ata hai. Fir  chahe wo kisi ki boring life ho ya chahe ek blank canvas. Bs der hai toh in colours ko paihchan karne ki or trust karne ki.

     LIFE IS NOTHING WITHOUT A COLOUR 

Ye toh bas magical imagination art ke bare me aap sab ko introduction di hai.

Snower Imagination Art World

My Paintings World

My Art Exhibition Simple but beautiful       Waise agar aap sab kisi bhi painter se puchho ki unki life meh sabse beautiful chiz k...